یٰۤاَیُّہَا الرَّسُوۡلُ بَلِّغْ مَاۤ اُنۡزِلَ اِلَیۡکَ مِنۡ رَّبِّکَ ؕ وَ اِنۡ لَّمْ تَفْعَلْ فَمَا بَلَّغْتَ رِسٰلَتَہٗ ؕ وَاللہُ یَعْصِمُکَ مِنَ النَّاسِ
Roman Urdu Tarjumah
Aey Rasool Pohcha Do Jo Ke Utra Tum Par Tumhare Rab Ki Taraf Se Aur Esa Na Ho To Tumne Uska Koi Paigam Na Pohchaya Jaye Aur ALLAH Tumhari Nigebaani Karege Logo Se.
Surah Maida Ayat 67
Is Ayat Me Bazahir To Huzur Nabi E Karim ﷺ Ko Tablig Farmane Ka Hukm Dia Jaa Raha Hai, Magar Sath Hi Huzur ﷺ Ki Naat Sharif Bhi Ho Rahi Hai Isliye Ke Ayat Me Farmaya Jaa Raha Hai Ke Aey Mehboob ﷺ Apne Bekhauf Wa Khtar Ahkaam Ki Tablig Farmaye Aur Kisi Dushaman Se Kahuf Na Famaye. Kyon Ke Hum Apkee Muhafiz Hai. Pehle Paigambaro Ko Kafiro Ne Shaheed Kar Dia. Ya Unki Tablig Rokne Ki Koshish Kiye, Lekin Apki Izzat Wa Azmat Wagera Ke Hum Muhafiz Hai. Ab Kon Hia Jo Aap Ko Nuqsan Pohcha Sake Lehaja Aap Khub Tablig Farma De.
Shaan E Nuzul Is Ayat Ka Yeh Hai Ke Yahud Madina Munawara Ne Huzur ﷺ Se Arz Kia Ke Hum Bardi Jamat Wale Hai Aur Taqatwar Bhi. Agar Aap Apni Tablig Chordh De To Hum Apki Izzat Karege Aur Khidmat Karege Aur Agar Apne Apni Tablig Jaari Rakhi To Hum Apko Shaheed Kar Dege, Chunache Muhajirin Wa Ansar 100,100 Hazrat Apki Hifazat Ke Liye Har Waqt Aapki Khidmat Me Hazir Rahne Lage Jab Yeh Ayat Karima Nazl Hui Tab Huzur ﷺ Ne Un Tamaam Khidmatgaaro Se Farmaya Aap Log Ab Apne Apne Ghar Aram Kare, Meri Hifazat Ki Zimedari Mere Rab Ne Farmali
(Ruh Ul Bayan)
Subhanallah ! Rab Ne Deen E Islam Aur Quraan Ke Bare Me Farmaya (Arbi Scan Me) Hum Iske Muhafiz Hai. Aur Sahib E Quraan Ke Liye Irshad Famraya Ke Aapko Logo Se Mehfuz Rakhege, Pehle Ambiyah E Kiram Ke Na Deen Ki Zimedari Thi Na Ambiyah E Kiram Ki Jaano Ki, Isi Wajh Se Unke Deen Bhi Khalt Ho Gaye Kitabein Mehfuz Na Rahi, Yaha Quraan Mehfuz Aur Islam Aur Masail Garz Ke Har Chiz Mehfuz Hui. Is Hifazat Hi Ka Asar Tha Ke Kufaar E Makka Ne Aur Yahud E Madina Ne Jaan Tordh Koshish Kiye Ke Saheed Karde Na Kar Sake. Rab Ta'la Ne Gaar E Shaur Me Makdi Ke Jaale Se Habib ﷺ Ko Bacha Lia. Yah Hi Nahi Us Zamana Me Hi Yeh Hifazat Thi Balke Qayamat Tak Ke Liye Aapki Izzat Wa Azmat Ko Mehfuz Kar Dia. Aaj Badhshah Ke Khilaaf Log Tahrire Chap Dete Hai. Magar Behamd E Rabi Ta'la Kisi Be Deen Ko Baargah E Risalat Me Gustakhi Karne Ki Himma Tnahi Hoti Agar Kisi Ne Gustakhi Ki To Fauran Apni Saza Ko Pohch Gaya. Yeh Hifazat E Rab Hai.
Hazrat Isa Allaysallam Ko Yahud Ne Pareshan Kia, To Charam Asamaan Par Bula Kar Unki Hifazat Farmai Us Se Bardh Kar Yeh Hai Ke Mehboob Ko Dushamano Me Hi Rakha Aur Farmaya Ke Mehboob Khub Tablig Ki Jaye.
Ek Governer Ki Riaya Is Se Na Dabi , Usko Badhshah Ne Shahi Mehal Me Bulaya. Dusar Governer Ne Sab Ko Qabu Me Karlia, Isko Hukm Mila Ke Aap Waha Hi Rahiye Aur Hukumat Kijiye Har Tarah Ki Imadaad E Sultaani Aapko Bheji Jayegi. Zahir Hai Ke Dusra Hakim Barde Dabdaba Wala Hai.
Is Ayat Se Malum Hua Ke Jo Shakhs Kahe Ke Huzur ﷺ Ne Hazrat Ali Radiallahu Ta'la Anho Ki Khilafat Ko Zahir Na Farmaya, Hazrat Ummar Ke Dar Ki Wajh Se Wo Bedeen Kafir Hai. Saare Hi Ahkaam Tabligiyah Ki Tablig Farma Di ﷺ .
Shaan E Habib Ur Rehmaan 75
يارسول الله ﷺ
صلى الله عليه و آله و صحبه و سلم
No comments:
Post a Comment